Tuesday, October 26, 2010

Kabhi Toh....












kabhi toh toot jaane ka mann karta hai
bikharke, hazaaron kataron mai,
beh jaane ka mann karta hai

kisi kohre ki tarah,
subah ki dhoop mai, chupke se,
ghul jane ka mann karta hai
kabhi toh toot jane ka mann karta hai.

in chann aasuoon ko beh jaane de agar,
ek samandar sa kuch inme doob jayega
kya kahe ki kis tarah khamoshi mai tadapti hai cheekhen
vo toh tanhai hai, jo milti nahi....


Notes - The last semester at college was the best lesson in stress management. Juggling a full-time job along with a full-time college was very challenging. The poem is meant to convey a feeling of disintegration.